Monday, March 15, 2010

Sauda

Arz kiya hai:

Phoolon ki aabru ko kaante kum nahi karte,
Chahne waale ki lafz-e-saza se aashiq nahi darte,
Resham ke hote hain dil ke dhagey deewano ke,
Phir bhi mohabbat karne wale dil ka sauda nahi karte...

Mehfil

Arz kiya hai:

Kissi ajeeb intezaar mein hai yeh mehfil,
Dheemi roshni ke bukhaar mein hai yeh mehfil,
Paimane ki pyaas bujhti hai jis dard se,
Uss dard ka shikaar hai yeh mehfil...

Qayamat

Arz kiya hai:

Imtehaan-e-ishq ki khidmat mein,
Is dil ke lafzon ki shiddat mein,
Na mila ik pal saanson ko chain,
Is adhoori mohabbat ki qayamat mein...

Monday, March 8, 2010

Under the sun

Arz kiya hai:

Suraj ki ghani roshni se jalti rahi,
Apni chahat se dur main chalti rahi,
Gham ko dabaa kar, yun muskura kar,
Raahon ki tapti dhoop mein pighalti rahi...

Tuesday, March 2, 2010

Tum

Arz kiya hai:

Beetey lamho ki yaadon ka khumaar ho tum,
Is dil-e-kastaa ka meharam nisaar ho tum,
Naseehat lena apni guzri harkaton se, kyunki,
Apni chahat ki haar ka khud gunehgaar ho tum...

Pehchana nahi

Arz kiya hai:

Jaana mujhe tumne par pehchana nahi,
Apna keh kar bhi kabhi apna maana nahi,
Kyun dete ho dil ki tamanna ko aasra,
Jab pal bhar ka saath bhi nibhana nahi...