Friday, February 26, 2010

Never fall...too fast

For the times when all you can do is to be strong and try not to fall... Arz kiya hai:

Do meethi baaton mein ban jaye koi rishta,
Nahi hai itni kacchi mann ki dor,
Do meethi mulaqaaton mein ho jaye kissi ka,
Nahi hai yeh dil kitna kamzor...

Wednesday, February 24, 2010

Lahoo

I hope no one relates to this :) Arz kiya hai:

Apna dard humne khud se hi kaha hai,
Meherbaan hai woh lahoo jo jeetey ji baha hai,
Kyun dosh dete hain hum kaanton ko,
Zakhm toh humein phoolon se mila hai...

Tujhse mil kar...

For the people who forever leave an impact on who we are. Arz kiya hai:

Tujhse mil kar kuch is tarha jiye hum,
Ki khud ko kuch aur samajh bethey,
Tujhse mil kar kuch is tarha marey hum,
Pal bhar ki judai ko poora daur samajh bethey...

Tuesday, February 23, 2010

Kyun

For all the answers we look for...that are better left alone :) Arz kiya hai:

Kyun hoti nahi pehle jaisi woh baatein,
Kyun rehne lage hain khafaa khud se hum,
Kyun aankhon mein numi chhod jati hain raatein,
Na tum jaano, na hum...

Taking the scenic route!

There is no time like the present...go get what you want :)

Saanson ki kashish mein kho kar,
Jazbo ko gehre samandar mein dubo kar,
Nikle the teri talaash mein hum,
Khud nazar andaaz ho kar...

Hasratein

For all those moments when the silence says a thousand words :)
Arz kiya hai:

Hasraton ne kiya zindagi pe aisa asar,
Na mili uss nazar se yeh apni nazar,
Hoti rahi baatein kuch ankahi, kuch ansuni si,
Nadan dil ko bhi na thi is dastaan ki khabar...

Sunday, February 21, 2010

In the moment

Here it goes...my first sher on the blog. And quite honestly, one of my favorite ones I've written :) Hope you enjoy it just as much! Arz kiya hai:

Kal ki baaton ko kal hi kho jaane do,
Beeti yaadon ko soch kar muskuraane do,
Najaane kya likhegi aage taqdeer zindagi,
Is pal mein, filhaal, rooh bheeg jaane do...

Wednesday, February 3, 2010

Euphoria onset

Hello! I'm thankful you took out time to get a glimpse of 'Euphoria.' I'm going to start posting my written works slowly. Its mostly going to be shers (urdu couplets) along with other things. Your comments are much appreciated! I have to rush to class now....will write later this evening :)